Tuesday, November 7, 2017

Google Adsense Account Approve kaise kren Pakistan men



pakistan men adsense acount kaise approve kren?




Asslam o alaikum , dosto zyada tr Pakistani bloging aur website ki dunya men buhat shok rkhty hen aur din raat mehnat bhe krty hen aur apny blog ya website ko approve krny ky liye bhe buhat mehnat krty hen aur lekin hota yehi hai GoogleAdsense ky liye aply kryt hen to GoogleAdesense  us  application ko ko nazar andaz kr ky rejacet kr deta hai aur kehta hai ky aap ki site adsense ki  policies ki mutabik nhe hai ya fir Adsense kehta hai ky adsense ko approve krny ky lye  aaap ka jo mawad hai wo quality bkhsh nhe hai ,

Kabhe kabhe aisa bhe hota hai adsense account  jald approve ho jata hai aur fir kuch hi dino men disable ho jata hai  , Drasal disable hony ka bra sbb ye he hota hai ky zyaday tr india aur Pakistan ky buhat saary spammrs  ,  Jo website ya blog ko sirf adsense ky approve krny ky liye bnaaty hen aur jaisy he adsense approve huwa to usy bechny shuru hojaigen aisy logo ko mainy internet py buhat saari jhg py dekha hai wo adsense approve kr ky bechty rehty hen wo log copyrighted material ka istmaal kr ky adsense approve krty hen jo adsense account kuch hi dino men band ho jata hai yaad rkhna aap googleadsense ko kabhi bhe dokha nhe de skhty ho q ky adsense din b din ek famous aur popular programe he aur iski team minut by menut sie ky kaam ka jaiza lati rehte hen jahan bhee uski policies ky khilaf kaam liya wahan wo apna action legen

Men aap ko advise dunga  k Pakistan men kabhe bhe google adsense account  nhe khredna ye bhe yaad rkhna ky google adsense bilkul he free hai jo google ki compnies ki  trf sy ki gye ek offer hai  jiski kuch requirmets bhe hoti hen agr adsense ki ploicies aur instructions ko fully follow krty ho to aap ko apny blog ya website k adsense account disable hony k koy chances nhe hen chahe aap Pakistan men ho ya kisi doosry country men aap ko koy bhe dikat nhe hogi aur yahan kuch tips bhe hen jenehn follow krna bhe zrori smjha jata hai


Pehly baaat ye k aap high level ka domain name purchase krna prega jaisy godady.com , hostgtor.com compnies ka
Aur aap ky website ya blog ka mawad quality bakhsh bhe hona chahye aap ky blog py aap ka khud ka mawad rkha huwa hai aur useful hai to aap ko adsense hasil krny men koy dikat nhe hogi
Aap k blog ya website ki designing bhe behtreen hona chahye navigation ya menue bar clear aur easy honi chahye taki readers ko dekhny men assani ho

Theme aap k blog men ho skhy to premuime use kro q ky aap earning ky arady sy blog bna rhy ho adsense seriously lega aap ky blog ya website ko earning ky hawaly sy
Aap blogger .com sy earn krna chahty ho yahan py bhe aap mehnat kr ky earn money with adsense kr skhyt ho q k ye google ka he ik earning ka platform hai jahan kaafi mehnat kr ky earning kr skhty hen aur aur doosra platform hai wordpress usky elawa aur buhat saary platform bhe hen

Blog bnany ky baad ye baat yad rkhna google adsense k liye aply krny sy pehly aap ky blog ki age 6 months hona laazmi he mtlb aap ka blog kam s km  6 month purana hona chahye aur aap ky blog ka name bhe achha hona chahye jisy search engine bhe accept kr papolar hony jaisy behtreen keyword ky mutabik aap jis chez ya kaam py blog bna rhy ho to blog ka name bhe us hi topic ky mutabik hona chahye ye baat googleadsense ko bhe behtar lgti usy aap ky blog ky liye itna soochna nhe prta ye option bhe adsense account ky easy hai 

Buhat saary users aisa krty hen blog ya website alg name aur address sy bnaty hen aur google adsense men alg name ka account bnaty hen ,to aap ko aap ko apny real admin name sy blog bnana chahye jis name sy aap adsense aply krna chahty ho
Traffic aap ky blog py daily 300 / 400 visitore per day hona chahye jab aap adsense k liye apply kro to aur safarshi traffic ya paid method sy traffic matlab ky  kahen paisy krch kr ky visitors lao is baato sy adsense bilkul hi hate krta ye sirf search engine ki real traffic ko he accept krta hai .


Agr pakistan men aap hoty huwy aap ka adsense approve nhe ho rha to aap ko kam s km 4 , 5 din wait kr ky dobara sumbit application krna chahye
Aur akhir men aap ko yhe khunga googleadsense aplly krny sy pehly is ki terms aur policies ko  ghour sy read kren aap ko sub smjh ajaiga ….

Aap ko ye topic smjh men aagya hai to thanks agr kuch nhe smjh men aaya ho to comments men pooch lena thanks ,,,

No comments:

Post a Comment