Saturday, March 4, 2017

Mobile Apps Kay Faidy .Mobile Apps benefits,



BENEFITS OF MOBILE APPS



Asslam o alaikum me hun Sajjad Ali ,,,,,,,aaj kal k dor men aap ko khoob pta hoga k mobile apps kiya hen ,aap is wakat bhe kIsi app k zereye mobile sy connected hongy ksi web browser ya ksi aur aplication sy ye topic prdh rhe hongen,


Mobile apps aaj kal har mobile user use krta hai aur use krny wala apny faidy k hisaab sy usy use krta hai lekin wo app jisny  bhe creat ki hai usy zyada faida hota hoga isky use sy ,aaj kal zyada dikha jata hai jis cheez ky customer zyada hoty hen us hi chees ki importance bhe zyada hoti hai bilkul is hi trh apps bhe ek aisa he inklaab hai jo aaj kal buhat zyada famous hai jo marketing ki dunya men buhat tezi sy grow kr rhi hai ,


Is dor men world ki 70 ,80 %  population online hi hoti hai internet sy hi inka conection hota hai smartphones , computers aur tablet ky business krny waly har wakat ye hi soochty rehty hen k zyada paise kaise kmaye , apni products ko  agy kaise brhaye buhat saari tabdeeliya laaty rehaty hen ,

Aap ko btaye 2013 men ACA communication ny apni pichly saal ki report pesh kr k confirm kiya k Australiya men roz mrh ki zindgi ko lekar poory  6,months men 13.07 million log mobile apps ko download kr chuky hen ab aap khud soch skhty hen kitna popular hai apps ,


Dunya men computer aur tablet sy zyada mobile use kiye jaty hen is ka matlab ky tv computer aut tablets sy zyada log mobile use kty rehty hen aur mobile men har options k liye unki apps hi use hoti hen BiznessApps ky developer  Zach Cusimano ka kehna hai 
 k mobile marketing koy bhe apny karobar ko tarki ya sahoolat farhaam nhe kr skhta hai, to aap jaan gye hongy k apps ki ehmiet kiya hai aur is ky faidy kiya hen nechy dekhen ,



MOBILE APPS KY FAIDY


customer ko wait nhe krna prta

Mobiles apps ek softwere ki trh hi hen jo ek web browser sy buhat tez kaam krti hen ,web browser men kuch jaan ny k liye url likhna prta hai apna topic likhna prta hai aur intezaar krna prta hai  lekin apps ky ander sub pehly sy hi  mujood hota ha jaisi apps download kro gy waisa hi data hoga faida apps ka yehe k isy offline bhe use kr skhty hen ,


Aap ki brand ko yaad rkhti hai

Apps aap ki har business ko yaad rkhti hai mobile apps aap ki namaish men izaafa kr ky aap ki brand ko strong bnati hai ye apps ek bookmark ki trh he hoti hen jo aap ki screen py ya menue men  show hoti hai hamesha aap ky mobile k liye visible rehti hai ,aur is sy apps creat krny waly ko bhe ye faida hai ky uski bnaye huwi app usky costomer ky saamny pri huwi hai jaisy costomer use krty hen to apps creat krny waly ko bhe profit hota hai ,


Apps customer ko busy rkhti hai

Zyada tar buhat customers ka mobiles apps k sath lgoa rehta hai , unky business ky liye ek achha rabta frhaam krti hai aur zyada us ky karobar ko connected rkhti hai isliye karbori logo ko is ki zyada zroort hoti hai ,apps ka use krty huwy kisi bhe business ko increase krti hen apps ki madad sy unky customers level increase hoti hai aaj kl ky doar men apps ek valueable tool bnta jar ha hai har business men  k liye ,


Apps ki costs kam hen

Sms , massages ,news, jaisi activities men Apps k ikhrajat buhat hi kam hen apny simple treeky aur ,security sy har baat ko communicat krti hai itlaat aur live apps ko chlany k liye staff bhe kam hota hai zyada staff ki zroort nhe hoti hai ,


Apps sy pehly kiya ghor kiya jata tha


Aap ki apps kaise useful hai ye aap kop ta hoga lekin meri apps mery customers k liye buhat saazgar hai aur use ful bhe hai aur buhat saary log use bhe kr rhy hen ek voting pole bnao apni apps men fir dekho k customers aap ki apps ko kaise pasand krty hen aur is sy aap ko apni apps ki marketing value bhe pta chal jaigen ,


Apni apps ka maksad by byaan kren


Sub sy pehly apni apps ka maksad lkhen matlab k aap ki apps kis chez k liye hai ,news ,sports ,messenger ya fir koy aur chez ki hai aur ye bhe sochy k aap ki apps use krny waly ko kis chezz ki zroort hai aap ki apps men aap hamesha unka intezar krty rho aur apni apps ko unky samny improve krty rho aur ateention bhe rho ,


Time aur Rasai

Apps sirf ek maali sarmaya kari hi nhe hai lekin investment k sath ek time ka taayun bhe hai  jaisy koy technology py apps ho to customers ko best servise pesh krna taky aap ki apps py stay rhy aur aap ki apps ki improving best rhy ,


App ky Business Ki Requirement


Me smjhta hu k aaj kal koy bhe business shru kry sy pehly mobile apps ko zroort jany q k apps ky beghair aise smjho business adhora hai islye apps har business man k liye important hai aur uski bdhya zroort bhe hai apna koy bhe business shuru krny sy pehly apps ka bary men sochna zroor q k ye fesla aap k business men ehm kirdar ada krega agr aap website sy karobar kr rho ho to website ko unky customers tak puhanchany k liye apps behtreen zereya hai kaise hum upper jaan chuky hen

Aap kal modern period ko mobile apps period kaha jai to koy shak nhe hai q k apps bauhat hi popular hai ,,,

Ye post prdh kr doosro tak share bhe kren …..aur subscribe kren next post k liye …… THANKS

No comments:

Post a Comment