Saturday, February 18, 2017

WordPress Plugins Kiya Hen aur Kaise Kaam Karte Hen ?




wordpressplugins kiya hen




Asslam o alaikum dosto , jo new wordpress users hoty hen inko inko ye pta nai hota ky plugins kya hoty hen aur kaisy  kaam krty hen
To hum is post men discus kren gen wordpress men plugins kiya hoty hen aur inka use kiya hota hai

Plugin drasal wordpress ky maholyati nizaam ka ik ehm hissa hota hai aur wordpress men plugins ka  istmal kr ky ya in plugins ky zreye hum ik behtreen website bhe taameer kr  skhty hen in plugins ky bghair wordpress py kaam nai kr skhty hen.

To chleye jaanty hen lugins aur inky kaam,,,…

Wordpress plugins

Jaisy hum apny smart phone men apps downlaaod krty hen thek isi trh Wordpress ky plugins bhe apps ki trh hi hoten hen jo humen wordpress men new features add krny ki ijaazat dety hen

Wordpress.org  per 48,000 sy bhee zyada free plugins mujood hen ,aur other websites sy bhee hazaro ki tadad men wordpresss ky plugins miljaty hen in men sy kuch free bhe hen aur premium  bhe hen ,
Blog ko shuru krny ky liye wordpress ny 2003 men is simple tools ko ijaad kiya kain saaaloo sy ye tools ik powerfull tool sabit rhy hen  blog ky content aur application men means ky plugins ka ik namaya krdar rha hai wordpress ki management men,


Wordpress ky plugins kiya kr skhty hen,?

Wordpress plugins jo hoty hen wo ek choty softwere ,apps  ki trh hoty hen ye wordpress ko buhat hi top ly jaty hen hum is tools ki madad sy na sirf wordpress blog bna skhty hen balky wordpress ko ik shaaandar website men bhe bdl skhty hen

Jaisy ..wordpress ky liye aap koy business directory bnao  directory plugins sy ,WooCommerce plugins ki madad sy wordpress py online store bnao ,aur job Manager plugins ki madad sy koy job board ki website bna lo aur buhat saary aisy hazaro plugins hen ,

Wordpress men kuch bhe impossible nai hai aap jo chahy kr skhty ho plugins ki madad sy
Buhat saary plugins hen ,SEO ko improve krny ky lye ,boost performance ky liye ,contact form add krna ,social media buttons ,aur aisy buhat saary plugins default wordpress men mujood hen .

Wordpress ky plugins kaam kaisy krty hen ?

Wordpress ik trh ki likhayee he hoti hai to is liye doosry developers in ky andr apny codes add kr skhty hen  wordpress plugin developers ko iktrh ky  API hooks aur filter pesh krta hai jo mojooda wordpress ki faaliyat ki nzr saani aur naye fa`aal ko shamil krny ki ijaazt dety hen,

Developers ko wordpress database men apni data store krny ki bhe ijazat hoti  hai , plugins wordpress ky content ki type aur taxocomies ko utilize bhe kr skhta hai aur posts , pages ky ilawa users ko allow krta hai costom fields men  mukhtalif kism ky content ko.

Aap ki registered wordpress men har  wordpress plugins installed hota hai aap usy active kr skhty ho aur jab chaho usy deactive bhee kr skhty ho mtlb jab chaho usy uninstall bhe kr skhty ho .

Jab aap ka page visit hoga to har visit py wordpress database ko connect kry ga , aur bunyaadi softwere ko bhe load kry ga aur fir aaap ky active plugins ko bhe active kry ga ,ye saary codes aap ky server men procces hony ky baad users ky browser men send hoty hen.


Wordpress plugins install kaisy kren ?

Aap wordpress . org sy buhat saary plugins search kr skhty ho wo bhe free men aur apny wordpress men admin area sy bhe dhoondh skhty ho
Plugin add krny ky liye Sub sy pehly plugins men jaky >Add new page fir apni marzi ka plugin search kren  aap jaisy he search krogy wordpress directly buhat saary plugins as list ky tor pr aap ky samny dikhai ga fir aap unka review ly kr click install ka bottun dba kr fir usy add krden ,

Jahan tk ky admin area sy kiye gye search plugins zyada helpful nhe hote hen q ky wo sirf free plugins hote hen is liye wo limited hi hote hen zyada tr begenars ko apny kaam ky plugins dhoodny men thoori mushklaat hoti hai .to aap achy plugins mostly wordpress . org sy ly skhyt hen

Free plugins ya  paid plugins kaise chuny

Free plugins hazaro ki tadad men mujood hen aap pass ik achha moka hota hai aap free plugins ka istmaal kr ky agr free plugins paid plugins ki jgh hi achha kaam krta hai to aap usy regular istmaal kr skhty hen yaad rkhna jo free plugins offer kiye jaty hen unki koy warrantie nhe hote hen aur na hi koy support ka promise ,free plugin ka auther jab chahe us plugin ka kaam rok skhta hai agr aap zyada support ki zroort mnd ho aur regular update rehna chahty ho to paid plugins aap liye zyada behtar rhen gen  hum zyada to website ya blog me free aur paid plugins dono hi istmaal krte hen


Free wordpress plugins ky lye support kaise hasil kren

Wordpress free plugins beghair kisi support aur promise ky offer kiye jaty hen ,aur zyada tr official wordpress support forums  ky zerye achhy free plugins k lye support offer ki jati hai

Ab aap jaan chuky hongen ky wordpress ky plugins kiya  hote hen aur kaisy kaam krty hen aap ko agr ye topic pasand aaya ho to share zroor krna aur comments bhee thanksssssssssssssssssssssssssssssssssssss












No comments:

Post a Comment